Sunday, April 18, 2010

Bhanwar main duub kar

Bhanwar main duub kar ubroh kanare mil hi jate hain Agar justaju ho sachi sahare mil hi jate hain Tamana chand ki karti hoon kyun tarikh ratoon main Meri jab aankh ko ashkoun k tare mil hi jate hain Munderon par nazar rahti hay grche koy mousam ho Bahaar ane na ane k ishare mil hi jate hain Woh aansu hain jo aankhon main palat kar hi naheen ate Magar bichre huwe sache sahare mil hi jate hain Naheen hay phool chahat ka koy bhi us k pehlu main Magar nafrat k jalte sangpare mil hi jate hain Naheen hay tashnagi ab zindagi main koy sawan ki Humari aankh se ashkon k dhaare mil hi jate hain Naheen gulfam yeh lazam k royeen hum muqadar ko Kabhi shahoon ko bhi to kuch khasare mil hi jate hain

No comments: