Sunday, April 4, 2010

Aankh Se Lahhu Na Bahaya Kr
Aankh Se Lahhu Na Bahaya Kar,
Ae Dil Usey Kabhi To Bhool Jaya Kar.
Dekhna Woh Aik Din Tujhe Chor Jaye Ga,
Na Usey Itna Sataya Kar.
Itna Aitbaar Bhi Acha Nahi Hota,
Usey Har Aik Baat Na Bataya Kar.
Shiddat-E-Gham Se Seena Phat Jaye Ga,
Aankh Se Kuch Aansoo Bahaya Kar.
Us Jaisa Tujhe Kaheen Mil Nahi Sakta,
Hazaar Baar Roothe Hazaar Baar Mannaya Kar.
Yahan Baad Muddat Koi Sukh Milta Hai,
Hath Aai Khushi Yun Na Ganwaya Kar.
"Jin" ki dehleez se wabasta ho zindagi",kaise mumkin hai un se juda hona,wo lakhmurawat se kaam lain phir bhi, ye dil nahi manta unse khafa hona..
Jahan yad ke deep jalte hon or sham ke sayee dhalte hon, jub pyar kisi ka yad aye or zikr kisi k chalte hon, ankhon ma ansoon bhar aayen ashk na hmsy rukty hon,tub un loogon ko yar karo jopyar tumhi sy karty hon, jo tum bin ji n sakty hon, or tum par dil se marte hon...jahan pyar ke deep jalty hon..deep jalty hon..
Wo Mery Alfaz Se Hairan Rehta Tha
Me Usk Zoq Se Pareshan Rehta Tha
BeWafa To Keh Dia Tha Sar-E-Aam UsNy
Phr Na Jany Q Khud Hi Pasheman Rehta Tha
Suna Hy K Pocha Tha Ksi Ny Mery Bary Me UsSy
Kaha Usny K Haan Dil Me 1 Nadan Rehta Tha
"ANjuM" Hum Kesy Us Ki Ruswai Karen
Jis Py Kbi Humara Imaan Rehta Tha.
Kisi Gulistaan Ke Paas Se,Surkh Patthar Ki Deewar Par,Aake Mauj-E-Saba,UMar Bhar Dasatakein De To Kya,Sirf Ye Hai Ke Haath Uske Thak Jayenge...
Tere Jane K Bad Aik Cheaz Ub Bhi Muj Mai Baqi Hai...
Teri Yaad Jo Mujhy Teri Aik Sharart Ki Terha Stati Hai...
Mere WATAN Ki Mitti Nilaam Hone Lgi Hy
BAGHAWAT Is K Khilaaf Sar-E-Aam Hone Lgi Hy
Bhej Koi MUUSA Ae Mere RAB
K FIROUN Ki FIROUNIAT Aam Hone Lgi Hy
Mat Baha Ansu Bey Qadro K Liye FARAZ,,,,
Ju Qadar Krtey Hain Kabi Roney Nahi Detey.

Jo Kahta Tha Aksar Muj Ko

Jo Kahta Tha Aksar Muj Ko

CHAND GHULAABUtra CHAHRA...
Tenoon Ek Se Lagte Hain..
Shayad Use Khoob Khabar Thi..
CHAND BanaHai Shub Ka Hisa..
Or
GHULAAB K SirPar Pat Jard
Mujh Ko DRD-E-HIJIRMila Hai.
*Un Ko Pal Pal Duaian Deta He*Jin Se Gham Hi Wasool Hoty Hen
*Bewafaoan Se Pyar Karta He*Dil K Apny Asool Hoty Hen
Mujhay Likh Kar Kahin Mehfooz Kar Lo Mohsin
Tumhari Baaton Say Nikalta Ja Raha Hoon Main.......!!

Saqiya Ek Nazar Jaam

Saqiya Ek Nazar Jaam Se Pehlay Pehlay,Hum Ko Jana Hai Kahin Shaam Se Pehlay Pehlay.
Khush Ho Ay Dil, K Mohabbat To Nibha Di Tun Ne,Log Ujar Jatay Hain Anjaam Se Pehlay Pehlay.
Ab Us K Zikr Pe Hum Baat Badal Detay Hain,Kitni Rughbat Thi Us K Naam Se Pehlay Pehlay.
Samnay Umar Pari Hai Shab-E-Tanhaai Ki,Wo Mjhay Chor Gaya Shaam Se Pehlay Pehlay.
Kitna Acha Tha K Hum B Jiya Karte The,Ghair-Maroof Se, Gumnaam Se Pehlay Pehlay.
May Kasay Us Shaks Ko Rula SaktA Hon Dosto..
Jis Shaks Ko Mai Ne Khud Ro Ro Kr Paya Tha..

Zindgi Pr Kitab Likhun Ga

Zindgi Pr Kitab Likhun Ga
Us Me Sare Hisab Likhun Ga
Pyar Ko Waqt Guzari Likh Kr
Chahton Ko Azab Likhon Ga
Hui Barbad Mohbt Kaise
Kaise Bikhre Ha Khuwab Likhon Ga
Apni Khwahish Ka Tazkra Kr K
Us Ka Chehra Gulaab Likon Ga
Me Us S Judai Ka Sabab
Apni Qismat Khrab Likhon Ga

hume koi tum sa

hume koi tum sa mil jaye yeh na-mumkin sahi lakin
tmhe koi hum sa mil jaye bada mushkil sa lagta hain.....

dekhanaa hai vo mujh par meharabaan kitanaa hai

dekhanaa hai vo mujh par meharabaan kitanaa haiasaliyat kahaa.N tak hai aur gumaan kitanaa hai
[asaliyat = reality; gumaan = doubt]
kyaa panaah detii hai aur ye zamii.n mujh koaur abhii mere sar par aasamaan kitanaa hai
[panaah = shelter]
kuchh Khabar nahii.n aatii kis ravish pe hai tuufaa.Naur kaTaa phaTaa baaqii baadabaan kitanaa hai
[baadabaan = sail]
to.D pho.D karatii hai.n roz Khvaahishe.n dil me.ntang in makaano.n se ye makaan kitanaa hai
kyaa uThaaye phirataa hai baar-e-aashiqii sar paraur dekhane me.n vo dhaan-paan kitanaa hai
[baar = weight/burden]
harf-e-aarazuu sun kar jaa.nchane lagaa yaaniiis me.n baat kitanii hai aur byaan kitanaa hai
phir udaas kar degii sarsarii jhalak us kiibhuul kar ye dil us ko shaadamaan kitanaa hai

Abhi sooraj nahi dooba

Abhi sooraj nahi dooba zara SHAM hony do,Main Hood hi laut jaoon ga mujhe NAKAAM hony do,,Mujhe BADNAAM karny k bahany dhoondte ho Q???Main khood ho jaon ga BADNAAM pahle NAAM hony do,,Abhi muj ko nahi karna hai AITRAF E SHIKAST,Main sab Tasleem kar loon ga yeh charcha AAM hony do,,Meri hasti nahi anmool phir bhi BIK raha hoon main,Wafaeen baech lena per zara NELAAM hony do,,Naye aghaaz main hi HOOSLA kyon toor bethy ho???JEET jao gy tum sab kuch zara ANJAAM hony do

Dastoor-habib jalib in english

Dastoor-habib jalib

The light which shines only in palaces
Burns up the joy of the people in the shadows
Derives its strength from others’ weakness
That kind of system,
like dawn without light
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept

I am not afraid of execution,
Tell the world that I am the martyr
How can you frighten me with prison walls?
This overhanging doom,
this night of ignorance,
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept

“Flowers are budding on branches”, that’s what you say,
“Every cup overflows”, that’s what you say,
“Wounds are healing themselves”, that’s what you say,
These bare-faces lies,
this insult to the intelligence,
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept

For centuries you have all stolen our peace of mind
But your power over us is coming to an end
Why do you pretend you can cure pain?
Even if some claim that you’ve healed them,
I refuse to acknowledge,
I refuse to accept

Kain kehta hai shahrat se tukhein deakhty hain

Janey man hum toh mohabbat se tumhein deakhty hain
Tum ko malom nahi tum ho muqadus kitny
Daekhty hain toh haqedat se tumhein deakhty hain
Deakh key tum ko kiasi aur ki yaad ati hai
Hum kisi aur hi nisbat se tumhein deakhty hain
Saath gheru ki nazar aao toh g khuttha hai
Kya kahein kaisi izyat se tumhein deakhty hain
Jhonkni parti hai yeh jaan azabo mei humein
Kaun kehta hai saholat se tumhein deakhty hian
Janey kya likhty ho kya sochty rehty ho wasi
Raat ko jab bhi kabhi chat se tumhein deakhty hain

Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar

jo Sunaaii De Usey Chup Sikha jo Dikhaaii De Usey Khwaab Kar

Abhi muntashi Na ho Ajnabii Na Wisaal rutt Ke Karam jatta

jo Teri Talash Mein gum hoye Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar

Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pe Ye Abr Kyoun

mujhey orhnay De Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar

Kahien Aablon Ke Bhanwar Bajien Kahien Dhuup Ruup Badan Sajien

Kabhi Dil ko Thall Ka Mizaaj De Kabhi Chashm e Tar ke Chanaab Kar

Yeh HAjoom e Sitam-GaraaN Na Suney Ga Teri Sada Kabhii

Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Se Khataab Kar

Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar hai Tahii Dasta Yaar Saja Isey

koii Ashk Phir Se Sharar Bana koii Zakhm Phir Se gulaab Kar

is kari dhoop mein jalty

is kari dhoop mein jalty hoay paao'n ki terha,,,,,,
tou kisi or key aangan mein hay chhao'n ki terha,

tou to waqif hey mery jazbo'n ki sach'chai sey,,,,,,,,
phir kio khaamosh hey pather key khudaao'n ki terha,

mein to khusbo ki terha saath raha hon teyray,
tou bhatkta raha bechain hawao'n ki terha,,,,,,

wo jo barbad hoay they wohi badnam hoay hein,
tou to masoom raha apni adaao'n ki terha,,,,,,,,

gham to ye hay key hamein koi khushi raas nahi,
zindagi kaat rahy hein hum sazao'n ki terha,,,,,,,

ابھی اس طرف نہ نگاہ کر میں غزل کی پلکیں سنوار لوں

میرا لفظ لفظ ہو آئینہ میں تجھے آئینے میں اُتار ہوں

میں تمام دن کا تکھا ہوا ، تو تمام شب کا جگا ہوا
ذرا ٹھہر جا اسی موڈ پر میں ترے ساتھ شام گزار لوں

اگر آسماں کی نمائشوں میں مجھے بھی اذن ِ قیام ہو
تو میں موتیوں کی دکان سے تیری بالیاں تیرے ہار لوں

کئی اجنبی تیرے راہ کے میرے پاس سے یوں گزر گئے
جنہیں دیکھ کر یہ تڑپ ہوئی تیرا نام لے کے پکار لوں

aaj hum kuch iss tarah rozey ko bahlaate rahey

chey baje se nau baje tak ghusl farmate rahey

nau baje akhbar ke daftar mein pahunche aur wahan
mustaed kaatib se ghazlein apni likhwaate rahey

dus baje ghar aake taaza ik ghazal takhleeq ki
zehn mein taaza khayal aate rahey jaate rahey

gyarah se do tak rahe ek dost ke ghar par jahan
jaanbalab misroun ke laashe uss se uthwaate rahey

do baje television station aaye aur wahan
har producer ko apni shakL dikhlaate rahey

teen per meteorology ke eik maahir se mile
shahr ke mausam ka zikre e khair farmaate rahey

char se chai tak rahe bazaar mein haazir jahan
taaza mewuun per nigaah e paak daurhate rahey

khurma o garma, pakorhe, aam, kelaa, daalmot
aik dastarkhwan per yeh maal chunwaate rahey

phal yeh jitni deir dastarkhwan per rakkhe rahey
hum tasawwur mein iss iftaari ka gham khaate rahey

eik ghanta apna iss surat se guzra hai ke hum
cheel ki maanind iftaari pa mandlaate rahey

saat baj kar bees per di ek muazzin ne azaan
woh azaan alfaaz jiske dil ko garmaate rahey

sun ke aawaz e azaan phir ghair iradi taur per
haath khudd barhkar plaitoN ki taraf jaate rahey

hum ko laahaq ho gai fikr e dinner baad e namaaz
nau baje khaane ko baithe raat bhar khate rahey
"I love you more than my teddybear, but please, don't tell him ...."

aik daawaat-o-qalam ho tou ghazal hoti hai

jab ye saamaan baham ho tou ghazal hoti hai

bhoot, aaseb, shayaateen, ajinna hazraat
in buzurgon kaa karam ho tou ghazal hoti hai

sher naazil nahin hotaa kabhii laalach ke baghair
dil ko ummiid-e-raqam ho tou ghazal hoti hai

puunch kutte ki terhi ho, tau kuch bhi na bane
aur teri zulfon mein kham tou ghazal hoti hai

muflisii, ishq, marz, bhuukh, burhaapa, aulaad !
dil ko har qism kaa Gham ho tou ghazal hoti hai

sirf tharre se tau qitaat hi mumkin hain "Figar"
haan, agar whiskey-o-rum ho tou ghazal hoti hai

vo na hogaa to kyaa kamii hogii

vo na hogaa to kyaa kamii hogii
bas adhuurii sii zindagii hogii

Gham hii chaaNdii hai, Gham hii sonaa hai
Gham na hogaa to kyaa Khushii hogii

usko sochuuN usii ko chaahuuN maiN
mujhse aisii na bandagii hogii

baat hoNToN pe jam gayii uske
chup ye Tuute to ankahii hogii

Duub jaayegii shor meN duniyaa
lafz hoNge na Khamoshii hogii

vo thakaa hu’aa merii baahoN

vo thakaa hu’aa merii baahoN meN zaraa so gayaa thaa to kyaa hu’aa
abhii maiN ne dekhaa hai chaaNd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa hu’aa

jise le ga’ii hai abhii havaa vo varq thaa dil kii kitaab kaa
kahiiN aaNsuoN se miTaa huaa kahiiN aaNsuoN se likhaa hu’aa

ka’ii miil ret ko kaaT kar ko’ii mauj phuul khilaa ga’ii
ko’ii peR pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas khaRaa huaa

mujhe haadisoN se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehndiyoN se rachaa hu’aa

vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate hoNThoN ke chaaNd the
kisii bhuule-bisre se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa hu’aa

vahiii shah’r hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchnaa vo daraKht anaar kaa kyaa hu’aa

mere saath jugnuu hai ham-safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko’ii charaaG hai na jalaa hu’aa na bujhaa hu’aa
meri udasi bhi buhat dilchasp ha Mehran.
k jee chahta ha kabhi besabab udas rehne ko.

vaqt-e-ruKhsat kahiiN taare kahiiN jugnuu aaye

haar pehnaane mujhe phuul se baazuu aaye

bas gayii hai mere ehsaas meN ye kaisii mahek
ko’ii Khushbuu maiN lagaauuN terii Khushbuu aaye

maiN ne din raat Khudaa se ye du’aa maaNgii thii
ko’ii aahaT na ho dar pe mere aur tuu aaye

us kii baateN ke gul-o-la’ala pe shabnam barse
sab ko apnaane kaa us shoKh ko jaaduu aaye

un dinoN aap kaa aalam bhii ajab aalam hai
shoKh khaayaa hu’aa jaise ko’ii aahuu aaye

us ne chhuu kar mujhe patthar se phir insaan kiyaa
muddatoN baad merii aaNkh meN aaNsuu aaye

Faqiraana aae sadaa kar chale,

Faqiraana aae sadaa kar chale,
Miyaan khush raho ham dua kar chale.

Jo tujh bin na jeene ko kahte the ham,
So is ahd ko ab wafa kar chale.

Koi naumidana karte nigah,
So tum ham se munh bhi chhipa kar chale.

Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.

Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.

Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.

Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.

Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.

Kahen kya jo puchhe koi ham se Mir,
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.

تابش ہوس لزت ِ آزار کہاں تک

تابش ہوس لزت ِ آزار کہاں تک
راحت ہے یہ غم پھر بھی میرے یار کہاں تک
ہر روز اک آوازہ انا لحق کا لگائیں
دیکھیں تو کہ ہے سلسلہ دار کہاں تک
ہر راستے سے منزل ہستی ہے بہت دور
جائے گا میرے ساتھ غم ِ یار کہاں تک
ہاں طعنہ ء اختیار کے نشترہی سے کھل جائے
اک زخم رہے گا لب ِ گفتار کہاں تک
ہیں اس کے تعلق سے عزیز اہل جہاں بھی
لے جائے گی آخر ہوس یار کہاں تک
آئینہ در آئینہ در آئینہ ترا حسن
حیراں ہوں تیرے طا لب ِ دیدار کہاں تک

ہمہ تن گوش اک زمانہ تھا

ہمہ تن گوش اک زمانہ تھا
میرے لب پر تیرا فسانہ تھا
کاش دل ہی ذرا ٹھہر جاتا
گردشوں میں اگر زمانہ تھا
ہم تھے اور اعتمادِ فصل ِ بہار
شاخ شاخ اپنا آشیانہ تھا
وہ بہاریں بھی ہم پر گزری ہیں
جب قفس تھا نہ آشیانہ تھا
دل کی امید واریاں نہ گئی
اِس کرم کا کوئی ٹھکانہ تھا
صبح سے پہلے بجھ گیا تابش
ایک دل ہی چراغ خانہ تھا

hamatan gosh ik zamana tha

hamatan gosh ik zamana tha
mere lab par tera fasana tha
kaash dil hi zara thehar jata
gardishon main agar zamana tha
hum thay aur aitamaad e fasl e bahar
shakh shakh apna ashiyana tha
wo baharain bhi hum per guzri hai
jab qafas tha na ashiyana tha
dil ki umeed wariyan na gayi
is karam ka koi thikana tha
subh se pehlay bujh gaya tabish
aik dil hi charagh khana tha

Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Saqta hai,

Ab Bhi Jalta Shehr Bachaya Ja Saqta Hai,

Aik Muhabbat Aur Woh Bhi Na Kaam Muhabbat,
Laikin Isay Kaam Chalaya Ja Saqta Hai,

Dil Par Pani Peenay Aati Hain Umeedein,
Is Chashmay Mein Zehr Milaya Ja Saqta Hai,

Mujh Gumaan Se Puchtay Hain Farhaad-o-Majnun,
Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Saqta Hai,

Yeh Mehtaab Yeh Raat Ki Peshani Ka Ghao,
Aisa Zakham Toh Dil Pe Khaya Ja Saqta Hai,

Phata Purana Khuwab Hai Mera Phir Bhi "Tabish",
Is Mein Apna Aap Chupaya Ja Saqta Hai.....!!!!

zindagi ki basti

beqaraarii sii beqaraarii hai
din bhii bhaarii hai raat bhaarii hai

zindagii kii bisaat par aksar
jiitii baazii bhii ham ne haarii hai

to.Do dil meraa shauq se to.Do
chiiz merii nahii.n tumhaarii hai

baar-e-hastii uThaa sakaa na ko_ii
ye Gam-e-dil jahaa.N se bhaarii hai

aa.Nkh se chhup ke dil me.n baiThe ho
haa_e kaisii ye pardaa-daarii hai