Sunday, April 18, 2010

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri [...]

Mainbhi khamosh nigahon say

Mainbhi khamosh nigahon say usay dekhta hoon,
Wo bhi chupke say kabhi aa k sada deti hai,
Kya khabar kal ki magar hamne suna hai aksar,
Rafta rafta yeh ada pyar barha deti hai…….!!!

Zikr-e-ulfat jab

Zikr-e-ulfat jab chala ek hadsa yaad aagaya,
Zakham dilke has diye wo bewafaya yaad aagaya,
Is tarah na guzri dardke maron ki raat,
Dard kuch itna badha bus khuda yaad aagaya…

us nai kaha tum main pehli si baat nahi

us nai kaha tum main pehli si baat nahi
main nai kaha zindagi main tera sath nahi
us nai kaha u bhi kisi ki ankh main doob jate ho
main nai kaha ub kisi ankh mian wo gaihrai nahi
us nai kaha kyoon itna toot k chaha mughai
main nai kaha insan hoon pathar to nahi
us nai kaha kiya main [...]

Agar Mujhsey Mohabbat Hey

Agar Mujhsey Mohabbat Hey Mujhey Sab Apney Gham De Do
In Aankhoun Kaa Har Ik Aansou Mujhey, Meri Qasam De Do
Agar Mujhsey Mohabbat hey …
Tumharey Gham Ko Apna Gham Banaa Loun To Qaraar Aaye
Tumhara Dard Siiney Mai Chhupaa Loun To Qaraar Aaye
Vo Har Shay Jo Tumhain Dukh Dey Mujhey Merey Sanam De Do
Agar Mujhsey Mohabbat hey [...]

Tjhe Pyar Mera SatayeGa Aksar!

Tjhe Pyar Mera
SatayeGa Aksar!
YaadoN K Toofan
Uthaye Ga Aksar!
Mera Naam Likh
Kr Kitabon MeIN Apni!
Tu LogoN K Dar Se
Mitaye Ga Aksar!
ZikAr Mera Aksar KArne
Se Pehley!
Tu Kuch Soch Kr
Muskuraye Ga Aksar!
Baatein Meri Yaad
Aayein Gi Itni!
Jitna Tu Unhe Bhulaye
Ga Aksar!

Khud ko is dil mein basaane ki ejazat de do…

Mujh ko tum apna banaane ki ejazat de do…
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho…
Phooleon se khud ko sajaane ki ejazat de do…
Main kitna chahta hoon tujhe, kis tarah batau tujh ko…
Mujhe yeh aap bataane ki ejazat de do…
Tumhari raat si zulfon mein chand [...]

Kisi ki yad dil mai hai

Kisi ki yad dil mai hai
koi ehsas baqi hai
Badalte mosamo k darmyan
ek raz baqi hai
Abi to mai safar mai hoon
milen gi manzilen mujh ko
Magar in raston k beech
kisi ka sath baqi hai
Kahin par sham dhalti hai
kahin par rat hoti hai
Abi to chandni hai
or chand ki rat baqi hai
Chale ayo kisi din tum
humara hal bhi dekho
Humara [...]

Bhanwar main duub kar

Bhanwar main duub kar ubroh kanare mil hi jate hain Agar justaju ho sachi sahare mil hi jate hain Tamana chand ki karti hoon kyun tarikh ratoon main Meri jab aankh ko ashkoun k tare mil hi jate hain Munderon par nazar rahti hay grche koy mousam ho Bahaar ane na ane k ishare mil hi jate hain Woh aansu hain jo aankhon main palat kar hi naheen ate Magar bichre huwe sache sahare mil hi jate hain Naheen hay phool chahat ka koy bhi us k pehlu main Magar nafrat k jalte sangpare mil hi jate hain Naheen hay tashnagi ab zindagi main koy sawan ki Humari aankh se ashkon k dhaare mil hi jate hain Naheen gulfam yeh lazam k royeen hum muqadar ko Kabhi shahoon ko bhi to kuch khasare mil hi jate hain

Main Tumse Bichad Kar Nahin

Main Tumse Bichad Kar Nahin Faryaad Karoon Ga ye Bhool Jaao Ke Main Tumhein Yaad Karoon Ga Iss Shehar-e-Be- wafa Mein Wafa Ki Qadar Kahan Abb Jaa Ke Main Sehraon Ko Aabaad Karoon Ga Gar Dil Ke Taaluq Say Hai Inkaar Woh Karta Main Rooh Ke Rishtey Say Bhi Aazaad Karoon Ga Shayad Khushi Sakoon Mein Rahat Na Mili Ho Gham Dey Ke Apney Dil Ko Main Abb Shaad Karoon Ga Dil Bhi Udaas Reh Ke Abb Ukta Sa Gaya Hai Abb To Naya Hi Shughal Main Ijaad Karoon Ga Hai Maira Zarf Teri Wafa Say Kahin Barrh Kar Aey Be-wafa Tujhey Main Kyun Barbaad Karoon Ga Tu Bhi Bichad Gaya Haaye! Dil Bhi Udaas Hai Kis Say Bayaan Apni Main Roodad Karoon Ga

Kaheen ik masoom nazuk si ladki

Kaheen ik masoom nazuk si ladki Bohat khobsoort mager sanwali si Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker Kabhi neend main muskurati tu ho gi Usi neend main karwaten badel ker Serhanay se takiyay girati tu ho gi Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker Usay man he man main lubhatay tu hongay Kaii saaz seenay ki khamoshion main Meri yaad se

Chaaha hai tujhko chaahoonga

Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam Teri yaad jo aati hai mere aansoo behte hain Apna to milan hoga pal pal ye kehte hain Kya ye zindagaani hai bas teri kahaani hai Bas teri kahaani hai ye jo zindagaani hai Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam Teri vo baatein vo chaahat ki rasmein Jhoothe thay vaade kya jhoothi thi kasmein Jaane tamanna kya ye sach hai bas itna keh de Toot jaayein na lamhe aitbaar ke De koi sila mere intezaar ka Chaaha hai tujhko chaahoongi har dam Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam Teri hoon teri jo chaahe kasam le le Mujhko humrahi tu apne gam de de Saari umar hai mujhko dard judaai ka sehna Raaste mein khoyi hai manzil meri Mere saath jayengi mushkilein meri Chaaha hai tujhko chaahoonga har dam Marke bhi dil se ya pyaar na hoga kam Tu saamne hai mere phir kyon ye doori hai Tujhe kaise bataoon main hay kya majboori hai Ye bhi koi jeena hai sirf aansoo peena hai Sirf aansoo peena hai ye bhi koi jeena hai .

Kisi ko kuchh na de sako

Kisi ko kuchh na de sako to duwa do unhen Khushi milegi tumhen ghaib se, samjho ise Kuchh paani bacha kar rakho,koi pyasa aur hai is duniya me Uske bikhre wajud ko sameto,kuchh samjho ise Kuchh shama jala kar rakho,andhera hai bahut Musafir duwa denge tumhen, kuchh samjho ise Apne aansunon ko ponchho kuchh muskurao doston Zindagi muskurane ka naam hai , samjho ise Maine man ke kaanten chubhen honge tumhe kisi raah par Bhul jaao,kuch phul bichhao un rahon pe,samjho ise Waqt chhlawa hai,na pakdoge to haanth na aayega Qadr karo iski doston, kuchh samjho ise Log kehte hain ki EHSAAS tu badi baaten karta kyn hai? Main to haqir hun,waqt ne sikhaya hai mujhko,samjho ise Aaj main kuchh kehta hun,karo wafa meri baaton se doston Is naacheej ki baaton pe gour karo,kuchh samjho ise

So gai hai dua hatheli par

So gai hai dua hatheli par, ik nazar ae khuda hatheli par, woh bhi taqdeer se gurezan hai, main bhi takta raha hatheli par, de gaya umr bhar ke andhiyare, aik bujhta diya hatheli par, keh gaya kitni an kahi batain, phool rakha hua hatheli par, kho gaya mukhtalif lakeeron main, jab bhi ansoo gira hatheli par, zindai ke zaeef lamhon ko, yun na sathi saja hatheli par, daikh le khud bhi apni ankhon se, apne rab ki ata hatheli par,

tere liye duniya mein aye hain

tere liye duniya mein aye hain tere pyaar mein hi rooksat ho jayeinge tere liye khushiyan payi hain tere pyaar mein sab gam bhool jayeinge teri yaad khusboo bankar ati hai tere pyaar mein hi khud ko bhool jayeinge tere liye hi yeh dharkanein hain tere pyaar mein hi dharakte reh jayeinge tere liye hi ankhein dekhti hain tere pyaar mein hi sari duniya dekh jayeinge tere liye jism mein jaan rehti hai tere pyaar mein hi ek din fanaah ho jayeinge tere pyaar mein ek din fanaah ho jayeinge ?.

Dard deker mohabbat ki ada bhool gaye

Dard deker mohabbat ki ada bhool gaye Dil mein the kaid mager rasm-e-wafa bhool gaye. Jin aankhoN meiN chhalakte the sharaab her dum yuiN, Kya ghula Zeher, maikede ka nasha bhool gaye

Lamha bhar apna Hawaon ko banany walay

Lamha bhar apna Hawaon ko banany walay, Ab na ayen ge palat ker kabhi janay walay, Kia milay ga tujhay bikhray hovay khwabon k siwa, Rait par chand ki tasveer bananay walay, Sab ne pehna tha baray shauk se kaghaz ka libas, Jis Qadar log thay barish main nahanay walay, Mar gaye hum to yeh kutbay pe likha jaye ga, Sou gaye aap zamanay ko jaganay walay, Dar-o-dewar pe hasrat si barasti hai Qateel, Janay kis dais gaye piyar nibhanay walay!

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko Ungliyaan

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

Bano jo Dost to phir sirf Wafa ho jao

Bano jo Dost to phir sirf Wafa ho jao, Bano jo Pyaar to phir Hud E Fida ho jao, Bano jo Dil to Dhadkan ki Sada ho jao, Bano jo Zulf to baadal ki Ghata ho jao, Bano jo Khoon to rag rag mein rawan ho jao, Bano jo Humdard to zakhmon ki Dawa ho jao, Bano jo Hath to phir Dasht E Dua ho jao, Bano jo husn to pakeeza Haya ho jao, Bano jo Jaan to phir Jaan E Wafa ho jao!

Wasi Shah :: Ik arzOo hai puri parwrdgar kre

Wasi Shah :: Ik arzOo hai puri parwrdgar kre, Mein dair say jaon wo mere intzar kre, Apne hathon say sanwarun zlfein uski, Wo sharma ker mhabat ka iqrar kre, Lipat jay mujhse aalm e madhoshi mein, Or josh e janum mein mohabaat ka izhar kre, Ho shab e wisal ya RAB!, Kia bheegi zulfon say mujhe bedaar kre, Jab use chor kia jana chahun Wasi, Wo roka or ik raat ka israr kre, Qasam khada ki main kisi or ka ho nahi sakta! Ya wada e wafa wo bar bar kre…

Mujhe roz o shb ki kitab mein koi hrf aisa na mil ska

Mujhe roz o shb ki kitab mein koi hrf aisa na mil ska, Jise misl e gul ka khitab doon jise chandni si taab don, Jise dond ker jise khoj ker rukh e asmaan pe saja bhi dun, Mere khon e dil ki nigarishain mere roh tak kia fastar bhi, Yahan elm o fan ki dukan par bare saste damose bik gaya, Mje tor ker muje mor kr mere doston ne jala dia, Reh e zindagi k ghubar mein mri khaak tak ko ura dia, mujhe phir bhi koi gila nahi jo nahi mila so nahi mila…

Kuch is tarha say usay pyaar karna parta hai

Kuch is tarha say usay pyaar karna parta hai, Kia apnay pyaar say inkaar karna parta hai, Kabhi kabhi to wo itna qareeb hota hai, Kia apne app ko dewaar karna parta hai, Khuda ne usko ataa ki hai wo maseeha’e, Kia khud ko jaan kia bimaar karna parta hai, Wafa ki raah mein dushwaarya’n to aati hain, Wafa ki raah ko humwaar karna parta hai, Wo haath rakh kia mere dil pe jab puchta hai, To mujhe ko dard se inkaar karna parta hai.

Kal halki halki barish thi

Kal halki halki barish thi, Kal sard hawa ka raqs bhi tha, Kal phool bhi nikhray nikhray thay, Kal un main aap ka aks bhi tha, Kal dadil kaalay gehray thay, Kal chand pe laakhon pehray thay, Kuch tukry aap ki yadoon kia…, Bari dair sa dil main thehray thay, Kal yaadein uljhi uljhi then, Aur kal tak ye na suljhi then, Kal piyaar kia deep jalay thay, Kal yaad bohat tum aaey thay!

Utho meri dunya k garibon ko jaga do

Utho meri dunya k garibon ko jaga do Khak-e-umra k dar-o-diwar hila do Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se Kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do Sultani-e-jamahur ka ata hai zamana Jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do Jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi Us khet k har khosha-e-gandum ko jala do Kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde Piran-e-kalisa ko kalisa se hata do Main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se Mere liye mitti ka haram aur bana do Tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai Adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do – Muhammad Allama Iqbal

Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte

Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte, Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte, Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir, Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte, Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar, Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte, Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko, Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte, Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain, Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte.

Mere ishq ko na nidhal ker

Mere ishq ko na nidhal ker, Kabhi Be hijab wasal ker, Meri ankh ko benai de, Mere qalab ko ujal ker, Mujhe dars de fana ka, Mere ishq ma bura haal ker, Mujhe de saza koi sakhat si, Mujhe is jahan ma misal ker, Meri asal sorat bigar de, Kisi ishq bhati ma dal ker, Mujhe bhi pila koi aesi she…, Kabhi meri ankhein bhi laal ker, Wo jo is jahan ma halal he, Kabhi us jahan ma halal ker, Teri talab ma hun Dar badar, Kabhi is samat bhi khiyal ker.