Sunday, April 18, 2010

Utho meri dunya k garibon ko jaga do

Utho meri dunya k garibon ko jaga do Khak-e-umra k dar-o-diwar hila do Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se Kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do Sultani-e-jamahur ka ata hai zamana Jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do Jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi Us khet k har khosha-e-gandum ko jala do Kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde Piran-e-kalisa ko kalisa se hata do Main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se Mere liye mitti ka haram aur bana do Tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai Adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do – Muhammad Allama Iqbal

No comments: