hamatan gosh ik zamana tha
mere lab par tera fasana tha
kaash dil hi zara thehar jata
gardishon main agar zamana tha
hum thay aur aitamaad e fasl e bahar
shakh shakh apna ashiyana tha
wo baharain bhi hum per guzri hai
jab qafas tha na ashiyana tha
dil ki umeed wariyan na gayi
is karam ka koi thikana tha
subh se pehlay bujh gaya tabish
aik dil hi charagh khana tha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Sunday, April 4, 2010
hamatan gosh ik zamana tha
hamatan gosh ik zamana tha
mere lab par tera fasana tha
kaash dil hi zara thehar jata
gardishon main agar zamana tha
hum thay aur aitamaad e fasl e bahar
shakh shakh apna ashiyana tha
wo baharain bhi hum per guzri hai
jab qafas tha na ashiyana tha
dil ki umeed wariyan na gayi
is karam ka koi thikana tha
subh se pehlay bujh gaya tabish
aik dil hi charagh khana tha
mere lab par tera fasana tha
kaash dil hi zara thehar jata
gardishon main agar zamana tha
hum thay aur aitamaad e fasl e bahar
shakh shakh apna ashiyana tha
wo baharain bhi hum per guzri hai
jab qafas tha na ashiyana tha
dil ki umeed wariyan na gayi
is karam ka koi thikana tha
subh se pehlay bujh gaya tabish
aik dil hi charagh khana tha
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment