Sunday, April 4, 2010

Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Saqta hai,

Ab Bhi Jalta Shehr Bachaya Ja Saqta Hai,

Aik Muhabbat Aur Woh Bhi Na Kaam Muhabbat,
Laikin Isay Kaam Chalaya Ja Saqta Hai,

Dil Par Pani Peenay Aati Hain Umeedein,
Is Chashmay Mein Zehr Milaya Ja Saqta Hai,

Mujh Gumaan Se Puchtay Hain Farhaad-o-Majnun,
Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Saqta Hai,

Yeh Mehtaab Yeh Raat Ki Peshani Ka Ghao,
Aisa Zakham Toh Dil Pe Khaya Ja Saqta Hai,

Phata Purana Khuwab Hai Mera Phir Bhi "Tabish",
Is Mein Apna Aap Chupaya Ja Saqta Hai.....!!!!

No comments: